Ye bat to aap achi tarha jan gaye hon gy k kisi b website ko rank katny k liye uski SEO karna bohat hi zaruri hota hai, ye kam kafi mehnat talab hota lekin aaj main apko kuch ayesy tools k about btaon ga jin ka use kar k ap ye kaam kuch minutes mein kar sakty hein. free seo tools kisi b website ya blog ko rank up karny ya search engines mein first position par lany k liye is ki achi se seo (search engine optimization ) karny ki zarurat pesh ati hai,, jis k liye aap ko kuch best tools ki zarurat hoti hai jin k about old bloggers to achi tarha janty hein lekin jo new bloggers hein unko in free seo tools ka nahi pata hota.
Aj k is article mein main apko un tools k bary mein btaon ga jin ka use kar k ap asani k sath apni website ko optimise kar k usko rank up kar sakty hein aur aap apni website ki value ko b check kar sakty hein aur aap domain authority ko b khud check kar sakty hein to chalen start karty hein.
1: Google Keyword Planner tool
Ye Google AdWords ka ek tool hai jis ko basically advertisers k liye bnaya gya hai lekin hum is ka use kar k ye check kar sakty hein k duniya kya dekhna chahti hai aur log kya search kar rahi hai aur ye tool hum ko high search volume waly keywords k about btata hai jin k use hum apni sites ki post mein karty hein. is k ilawa hum is sy ye b check kar sakty hein k kis type ki post ya niche par hum ko Google AdSense sy zeyada earning ho gi. agar aap apni post ko jaldi rank karwana chahty hein to hamesha zeyada search hony waly keywords ka use karen.
2: Google Analytics
Agar SEO ki bat karen to us mein Google Analytics ek doctor ki tarha kam karta hai ye hum ko humari site ki report deta hai aur is k through hum ko real time users ka pata chalta hai k is wakat kon kon humari website ko open kar k betha hai is k ilawa ye humko user ki location ka b btata hai k humari website par jo visitor jai wo kis coutry ya city sy hai ye bohat hi kamal ka tool hai.
3: PageSpeed Insights
Ye tool b SEO mein bohat zeyada ehmiyat rakhta hai isko b Google own karta hai is tool ki madad sy hum ye check karty hein k humari website kitni speed sy open hoti hai yad rakhen agar humari website ki speed bohat slow ho gi to humari website ek to Google AdSense sy approve nahi ho gi aur dusera wo Google mein rank b nahi ho gi is liye is tool ki help sy apni website ki speed lazmi check karen agar slow ho to usko set karen ta k apki site par koi issue na ho.
4: mobile Friendly test tool
Ap ko ye bat k sath agree karna pady ga k aj kal k dor mein PC sy zeyada log mobile ka use karty hein is liye agar hum koi b website bnaty hein to uska mobile friendly hona zaruri hai q k agar aap ki site mobile par open na ho to ap bohat zeyada traffic ko zaya kardo gy is liye is tool ki help sy aap ye check kar sakty hein k aap ki site mobile friendly hai ya nahi, is tool ka use karen aur abi apni website ko check karen.
5: Dupli Checker
ye b ek bohat kamal ka tool hai jis ki mada sy aap check kar sakty hein k apki website par koi post duplicate to nahi aur apky blog par koi ayesi post to nahi jo copy paste ho ya jis ka content kisi dusri website sy match karta ho, agar ayesa hai to apko is ka boht nuqsan ho ga q k google apki site ko search console mein rank nahi kare ga aur apki site rank b kar jaye to google AdSense sy approve nahi ho gi.
6: SEO quake
Ye chrome browser ki ek bohat hi kamal ki extension hai jisko aap apny browser mein install kar k koi b site open karen gy to ye tool us site k about tmam malumat apko de ga jese k website ki traffic, back links, domain authority and ranked keywords etc
7: Copy Scape
Jab aap koi b website bnaty hein to aap bohat hi mehnat k sath uska content likhty hein lekin agar koi aap k likhy huye content ko chori kar ly to bohat bura lgta hai, is tool ki madad sy aap ye check kar sakty hein k kis ny apka content chori kia hai to aap google ko report kar k usko block karwa sakty hein, ye kafi benefit wala tool hai j apki mehnat ko waste nahi hony deta.
8: Semrush
Ye ek paid tool hai lekin bohat hi kamal ka hai is ki help sy aap apny competitor ki website ki organic search, backlinks, top keywords, ranking and display advertising dekh skty hain.
9: Penguin
agar website ki traffic ek dam down ho jaye to is ka matlab hota hai site par google k algorithm Penguin ya panda ne attack kia ho. is tool ki help se aap asani pata laga sakty hein k aap ki site k sath kya issue hua hai.
10: Dead Link Checker
Ye b ek usefull tool hai jis ki help sy aap apni site k out dated and dead link check kar sakty hein jese k error 404 found waly page is tarha k page apki site ki ranking ko down kar dety hein aur apki ki hui mehnat zaya ho jati hai is tool ki help sy aap wo link apni site sy khatam kar sakty hein jinko hum broken link kehty hein.
11: Domain Authority Checker
is tool ki help sy aap apni website ki domain authority ko check kar sakty hein aur aap ye b chack kar sakty hein k apki site ki page authority kya hai is k ilawa is tool sy aap apni site k bank links ki details b jan sakty hein ye bohat hi best free tool hai isko lazmi sy use kia karen.
12: Word Counter
ye tool basically posts k words ko count karne k liye bnaya gya hai, is ki sabse achi baat hai ye hai k ye keyword density k bare mein b information deta hai k article mein aap ny konsa keyword kitny percent use kia hai. article post karny sy pehly ap is mein apna article paste kar k is k words aur keyword density jaan sakty hain.
13: Moonsy
Is ek tool mein 9 seo tools Available Hain.
- google Keyword Position Checker
- spam link Checker
- Check domain age
- Alexa Rank checker
- Semrush traffic checker
- Domain to IP
- DA PA checker
- DMOZ directory checker
- Semrush traffic checker
in tamam tool ka use kar k aap apni site ko excellent boost kar sakty ho.
is k ilawa b apko kafi tools k name deta hu jo apki tech life mein apky bohat zeyada kkam ayen gy
Best Tech Tools for You:
- Plagiarism Checker
- Article Rewriter
- Grammar Checker
- Word Counter
- Spell Checker
- MD5 Generator
- Uppercase To Lowercase
- Word Combiner
- Image to Text Converter
- Translate English To English
- Reverse Image Search
- Image Compression
- Favicon Generator
- Video to GIF Converter
- Image Resizer
- Convert to JPG
- RGB to Hex
- Crop Image
- Keyword Position
- Keywords Density Checker
- Keywords Suggestions Tool
- Keyword Research Tool
- Keyword Competition Tool
- Related Keywords Finder
- Long Tail Keyword Suggestion Tool
- keywords Rich Domains Suggestions Tool
- SEO Keyword Competition Analysis
- Live Keyword Analyzer
- Backlink Checker
- Backlink Maker
- Website Link Count Checker
- Website Broken Link Checker
- Link Price Calculator
- Reciprocal Link Checker
- Website Link Analyzer Tool
- Broken Backlink Checker
- Valuable Backlink Checker
- Website SEO Score Checker
- Google Pagerank Checker
- Online Ping Website Tool
- Page Speed Test
- Website Page Size Checker
- Website Page Snooper
- Website Hit Counter
- XML Sitemap Generator
- Url Rewriting Tool
- What is My Screen Resolution
- Url Encoder Decoder
- Open Graph
- Open Graph Generator
- Get HTTP Htaccess
- Redirect Generator Headers
- Wordpress Theme Detector
- Instant Search Suggestions Tool
- Website Screenshot Generator
- Online virus Scan
- Mobile Friendly Test
- Minify CSS
- Minify HTML
- Minify JS
- URL Shortener
- Link Tracker
- Check Server Status
- Code to Text Ratio
- Alexa Rank Comparison
- Page Comparison
- Comparison Search
- Google Cache Checker
- Mozrank Checker
- Page Authority Checker
- Google Index Checker
- Alexa Rank Checker
- Similar Site Checker
- Domain Authority Checker
- Domain Age Checker
- Domain Name Search
0 Comments