PDF Kya hai? PDF file ko kese open kare? What is PDF fully explained in Urdu and Hindi

PDF Kya hai? PDF file ko kese open kare? What is PDF fully explained in Urdu and Hindi
Office ho ya koi b aur jaga hum documents ka use karty rehty hein aksar ducoments bohat keemti hoty hein jin ko bohat care k sath rakhna padta hai aur aksar document ko ek jaga sy dusri jaga trasnfer karna padta hai to kafi mushkil pesh aati hai k wo kharab na ho jaye pani se geely na ho jayen lehaza is pareshsani sy bachny k liye apny kagzat ko save rakhny k liye hum mukhtalif files format ka usae karty hein jin mein sab sy better aur zeyada use hony wala format PDF hai aaj hum isi par bat karen gy k ye kya hai aur ye kese bnaya jata hai aur hum isko again dekh kese sakty hein to chalen start karty hein. PDF ka full form Portable Document Format hai, wese to is ki bohat si jaga par use hota lekin  Aam toor par ye books k liye use hota hai, internet par apko jitni b books milti hain wo sab PDF k format mein save ki hoti hain.

PDF kya hai? What is Pdf in hindi
PDF ka full form Portable Document Format hai, ye Basically ek file format hi hai jis tarha notepad ka .txt, excel ka .xls, Microsoft word ka docx, Image ka .png ya .jpg hota hai same wese hi .pdf b ek file format hai.
PDF ko bnany wali company Adobe software Company hai jis ny isko 1991 mein develop kia tha, is ki help sy hum kisi b file ko PDF mein convert kar k easily store kar sakty hein, agar overall deklha jaye to tamam formats sy zeyada is waqat PDF use kia jata hai. q k agar ek file kisi dusri jaga transfer karni ho to usko pdf mein convert kar k asani sy dusri jga send kar sakty hein. Pdf ka sab sy bada benefit to ye b hai k ab koi b book old ho ya new wo hum ko purchase nahi karni padti wo PDF format mein hum ko internet par asani k sath mil jati hai jisko internet sy download kar k hum asani k sath read kar sakty hein apny mobile mein b aur apny computer ya laptop mein b.

Benefits of PDF?
Pdf format k bohat sary benefits hein yahan apko kuch ka zikar karta hu.

1. agar humary pas bohat zeyada documents hein to hum unko PDF mein convrt kar k unky size ko compress kar k mapni storage ko b save kar sakty hein.
2. Pdf file ko hum kisi b Device mein open kar k read kar sakty hain jaise, Mobile, computer, Laptop, tablet etc.
3. agar humara hasas data ho to hum Pdf ko password Protected b bana sakty hain.
4. Pdf file ko hum kisi b jaga email ya other methods sy asani k sath Share kar sakty hain.
5. Pdf format mein audio, text, link, button etc. Save kar sakty hain.
6. Pdf format mein hum ebook create kar sakty hain, agar aap meri rai mango to mujhy pdf ka sab sy bada faida ye e lagta hai k agar hum book reading ka shok rakhty hein to hum pdf k through apni books ko ebooks bana kar apny mobile save kar lyn aur jab chahen aur jaga chahen unko asani se read kar sakty hein.

PDF File ko open kaise kare?
ab aa gya humara sab sy important question k hum PDF file ko open kese kar sakty hein to Pdf file ko Aap Computer, laptop ya phir mobile mein har jaga open kar sakty hain without internet access, Pdf ko open karny ka bohat sary pdf reader Software hein jin mein sub sy Popular Adobe Acrobat Reader hai, aur dusra google chrome hai In dono ko Aap apne Pc mein Install kar ky is mein Pdf ki file open kar sakty hain is k elawa Aap agar android use karty hein to aap k mobile mein phir google chrome to lazmi ho ga agar hai to aap ko kisi aur aap ko install karny ki zarurat nahi aap usi k through unko open kar k read kar sakty hein.

main umeed karta hu k aapko aaj ki ye post kafi helpful lagi ho gi. post ko share lazmi karen Good Bye!

Post a Comment

0 Comments