Pyar kya hota hai?
Pyar, ek esi khushi ka nam hai jo tanha hony par apko khush kar dy ga. Ye jazbat se fulfil wo connection hai jo do afrad k darmiyan start hota hai jab dono ek doosry ko samajhte hain, ihtiram karte hain, aur apni zindagi k har khushi aur gham ko ek doosre e saath baantna chahte hain. Ye ek gehra ehsas hai jo dil ki khwahishat chhoota hai. Pyar mein ehsasat ki tawanai pai jati hai, ye ek ayesa magic hai jo do anjan dilon ko jorta hai lekin agar khoni rishty sy pyar ki bat karen to uski to baat hi kuch alag hai jis ki sab sy badi misal maa aur baap ka pyar hai. jese k jab aap chhoty thy to sardion ki rat ko jab aap pishab ki waja sy gily ho jaty thy to aapki maa apko khushk jaga par sula kar khud sardi ki sari raat geeli jaga soi rehti thi.
Categories of Love
Pyar bohat sari mukhtalif shaklon aur rupon mein zahir ho sakta hai.agar hum as muslim Islami nazariye k mutabiq dekhen to pyar Allah Ta'ala k liye mohabbat ka izhaar karna aur doosri insaniyat ki khidmat karna hai. Ye ek eman ka hissa hai aur is par amal ka ajar Allah ny akhirat mein bohat zeyada rakha hua hai. Doosri taraf agar duniya dari ki taraf aa jayen to , romantic Love mein aashiq doosre k liye shadeed jazbat rakhta hai. Ye pyar mohabbat, raghbat aur romance sy related hai jo husband aur wife k darmyan b parwan charta hai ye ek khubsurat rishta hai Pyar ki 3rd qisam, family love hai jo khandan k afraad k darmiyan banta hai aur khandan k members ko aapis mein joor kar rakhta hai.
Pyar k liye zaruri adaab
pyar mein sab sy basic cheez hai izat aur ihtram agar aap kisi ko apny pyar ka ehsas dilana chahty hein to sab sy pehly usko izzat den us k bad dusry number par hum apny love ki zaruriyat ka khyal karen hum is cheez k khyal karen k uski konsi zarurat hai hum uski puri puri zimadari uthyen.
Experience of Love
pyar ek ayse jazby ka nam hai jisko hum jitna b chahen apny alfaz mein bayan nahi kar sakty iska ek alag hi ehsas hai jab ye kisi ko b kisi sy ho jaye to ye shakal aur rang nahi dekhta bas ye ho jata hai aur insan apny aap ko ek alag hi duniya mein feel karta hai jin jazbat ko hum fully explain nahi kar sakty.
Pyar ek ayesa khazana hai jo duniya bhar mein maujood hai. Hum ko sirf ek perfect aur achy insan ki talash ki zarurat hoti hai jo k is qabil ho k hum us sy apny dukh sukh bant saken.
Pyar kaise hota hai?
Pyar ek bohat hi nazuk aur deep ehsas hai jo dil se paida hota hai. Ye achanak hojata hai iska koi time nahi hota boht dafa to apko jaldi pata b nahi chalta k aap kisi k pyar mein phans chuky ho aghar kisi ki soch apki soch sy milti hai to b apko us sy pyar ho jata hai agar koi dukh k waqat apky sath khara ho jaye to b us sy pyar ho jata hai agar kisi ki koi adat apko pasand aa jaye to us sy b apko pyar ho jata hai is liye sab sy zaruri bat ye e hai k pyar ki koi limit nahi hai ye kahi b kisi sy b ho jata hai lekin pyar karty waqat hamein is bat ka khyal b rakhna chahiye k hum jis k pyar mein giry huye hein wo is qabil b hai ya nahi.
ek ladki dusri ladki se pyar kar sakti hai. jis ki sab sy big example 2 sisters ka apas mein pyar hai
Pyar ka izhaar kaise kare?
pyar ka izhar ek tarha sy ek agreement hi hota hai jis mein hum agly bandy ko ye bataty hein k tum mujhy achy lagty ho mein har dukh sukh aur har zarurat k waqat tumhary sath khar rahu ga yahan mein apko kuch point btata hu unko achi tarha sy read karlo apko sab kuch achy sy samjh aa jaye ga:
1. Khul kar baat karen:
Pyar ka izhaar karne k liye samne wale apny partner k saath khul kar baat karen. Ap k dil mein jo b bat ho aap apny dil ki baat ko saaf aur clear kar k usko samjhayen aur apne jazbaton ko bayan karen.
2. Doston ki madad len:
Agar aap unconfident feel karte hain, to aap apne pyar ka izhar karny k liye apny sathiyon ki madad le sakty hein. Un se aap mashwara karen, un se apne dil ki baat share karen.
3. Patience rakhen:
Agar aap ko kisi sy pyar ho gya hai to aap hosly sy bat karen uska izhar itni jaldi aur jazbat mein b na karen k aap agly bandy ki izat ko nuqsan pohncha den is liye thora sa waqat khud b len jab munasib waqat aaye tab apny pyar ka izhar karen. agar moka bohat hi munasib ho to aap pehly kuch poetry ka maza add karen aur phir gulab ka phool jo k pyar ki nishani samjha jata hai wo apny partner ko de kar apni muhabbat ka izhar karen.
Aap Pyar ka izhaar bina kuch boly ya apny dost ko batye bina b kar sakty hein lekin ayesa karna har kisi k basd ki bat nahi hoti apki chup ko agla bnda kuch b samjh sakta hai lekin aapko kuch point btata hu jo aap k liye helpful sabit ho sakty hein:
Apne partner ko izzat den aur uski khwahishon ko samajhen. Uski pasand aur napasand ko carefuly notice karen aur sahi waqat par us ko pasandeeda cheez gift karen aur usko khush karen.
aap eye connection k through ek doosre ki taraf dekh kar pyar ka izhaar kar sakte hain. Aap apne partner ki nazar mein nazrein milakar usko pyar mehsoos karne ka ehsas dilate hain.
umeed karta hu k aaj ka article aapko acha laga ho ga agar aap b kisi sy pyar karty hein to ye usko lazmi share karen ayesa na ho k aap dair kardo aur apka pyar koi aur ly jaye.
0 Comments