SEO Kya Hai? - Search Engine Optimization in Hindi

SEO Kya Hai? - Search Engine Optimization in Hindi
agar hamari koi website ya blog hai to hamari koshish hoti hai k wo search engines mein zeyada sy zeyada rank kare ta k hamri income increase ho saky us k liye kuch factors hoty hein jin mein sab sy main factor 
seo hota hai, SEO Kya Hai?  Seo ka full form search engine optimization hota hai Seo basically website ki organic traffic increase karne aur website ko search engines mein rank karne ya search engines mein top results par lany k liye use hota hai, is mein white hat seo and black hat seo hoty hain, jis mein aagy onpage seo aur offpage seo is k 2 major parts hain.

is k ilawa aj k article mein main apko fully easily smjhaon ga k Seo Kya hai aur search engine optimization ki A to Z complete information du ga is liye aap is post ko mukamal read karen Q k agar app seo sekhna chahte hain to us k liye apko seo k bare mein mukamal maloomat honi chahiye ta k aap ek achy content creator ban sakyn aur apny skill sy faida utha saken, aap ye seekh kar is ki service dy kar b paisy kama sakty hein.

SEO Kya Hai - search engine optimization in hindi
search engine optimization mein hum apni website ko rank karne aur search engines se ziada se ziada traffic lany k liye apni posts and articles ko optimize karty hai, aap google, bing ya kisi b other search engine mein koi b word likh kar search karte hain to apko ek second se b kam time mein lakhon results apki screen par mil jaty heinaur un mein sy jo results top par yani list mein sab sy pehly show hoty hein to har user un pages par hi click karta hai aur is tarha un websites ko dusri websites ki nisbat bohat zyada traffic milti hai, ayesa is liye mumkin hai q k unho ny apni site ki SEO ki hoti hai.

website ya blog ki kisi b post ko search engines mein No.1 par rank karwany k liye optimize karna zarori hota hai is k bina hum apny blog ya website ko serach mein top par nahi laa sakty,
seo ek biggest field hai is mein bohat zeyada seo k experts clients ko websites ki seo ki service de kar daily huge income generate kar rahy hein ye ek profitable skill hai aap b isko seekh kar iski service online de kar is sy lakhon mahana kama sakty hein.
is k ilawa agar aap ki website hai aur aap us par buy and sale ka kam karty hein to apki cheezen tab hi zeyada sale hon gi agar aap ki website par traffic zeyada ho gi aur ayesa tab hi mumkin hjai jab aap ny apny blog ya website ki thek tarha sy SEO ki ho gi.

seo ki kuch aqsam hein ab aapko wo detail k sath smjhata hu.

Type Of SEO
Seo ka 3 types hain
  1. White Hat Seo
  2. Black Hat seo
  3. Gray Hat seo
White Hat Seo: SEO ki is qisam mein hum google k rules ko follow karty huwe kaam karty hein yani apni website ya blog ko rank karwane ka ye ek organic and legal tarika hai is method se apki website ko rank hone mein thora waqat lagta hai but is sy ap ki website ek bar rank kar jaye to is ki ranking kabi down nahi hoti, agar aap apni website ko long time k liye search engines mein rank karna chahte hain to aap isi method ka use karen ye sab sy authentic tarika hai.

Black hat seo: SEO k is part mein website ko jaldi rank karwane k liye kuch is tarha ki techniques ka use kia jata hai jin ko koi b search engine ijazat nahi deta aur wo ban karta hai, is se apki website rank to jaldi ho jati hai lekin is technique se kabi b apki website serach results se kickout kar di jati hai aur apki website zero par aa jati hai aur aapki sari mehnat zaya ho jati hai aap is method ko kabi b use na karen q k iska koi b future nahi hota.

Gray hat Seo: Black hat aur white hat seo ko mix kar diya  jaye to Gray hat seo ban jata hai yani is method mein kuch techniques white hat aur kuch tips black hat seo ki use hoti hain.

Parts of SEO
Agar dekha jaye to seo k micro parts bohat zeyada hai jinko abi sy samjhna aap k liye mushkil ho jaye ga is liye aaj hum sirf 2 main parts ki bat karen gy jin ka use kar k hum achi SEO karny k kabil ho jayen gy.

Onpage Seo kya Hai?
Onpage seo k through hum apne blog post likhte time  jo text b apne article mein likhte hain example: keyword, title, permalink, meta description, meta tag, heading, photo alt etc. jab hum inko google k rules ka matbiq optimize karte hain to is ko hum on page seo kehty hein seo ka ye part bohat hi zaruri hota hai is sy apki site rocket ki tarha rank up jaye gi
agar aap apni blog post ko ache se on page seo kar lety hain to phir app offpage seo na b karen to phir b apki post rank kare gi lekin agar aap sath mein offpage seo b ksr lete hain to apki blog post aur b jaldi rank ho jati hai.

Offpage Seo kya Hai?
Agar aap ny apni post likh kar uski onpage seo kar k usko publish kar diya hai to us k bad aap uski off page seo kar sakty hein offpage seo mein link building, social book marking, sharing, commenting, guest post etc shamil hain, basically in k through backlinks generate kiye jaty hain yani asan alfaz mein offpage seo mein hum apne blog ya blog ka koi b ek article ka dofollow and noffollow backlinks generate karty hein us se website jaldi rank kar jati hai.

Post a Comment

0 Comments