agar aap study aur reading mein weak hein apko kuch yad nahi hota aur aap pareshan rehty hein to dont be worried aj main apko kuch tips du ga jin py amal kar k aap intelligent student ban jayen gy, aj hum bat karen gy SQ3R Method ki,
sq3r method ek bohat hi acha aur aazmoda method hai jis ki madad se aap na sirf apni study ko long time tak yad rakh saken gy aur sath sath apko book point by point samjhny mein madad mily gi.ye method na sirf students balk k dusry job holders logo k liye b bohat mufeed hai jinko kafi kuch yad rakhna padta hai, aj k article mein hum is method ko achi tarha samjhen gy k ye work kesy karta hai.
SQ3R Method - Best Reading Studying Techniques
All over study k methods py research kar k experts ny ek method tyar kiya hai jisko sq3r method kaha jata hai sq3r method ko mukhtalif parts mein divide kia jata hai. jis mein sab sy pehla part hai hai:
S= Survey Q= Question R= Reading R= Recite R= Review
in parts mein aagy aap ny mazeed teen parts par kaam karna hota hai jo k nichy darj hein kaam karna hai
- before reading
- during reading
- after reading
during study aap ny in diye gaye parts mein sy survey aur question k chapter read karny sy pehly kaam karna hai read aur recite par chapter padhne k doran aur review par chapter padhne k baad kaam karna hai. ab in parts par thori detail sy bat karty hein ta k achi trha smjh saken.
Parts of SQ3R Method
1. sarvey
is part mein aap ny just dekhna hai k aap k pas kitny chapter hein unka title kya hai aur un k main points kon kon sy hai is part ko aap ny 4 sy 5 martba repeat karna hai jiska faida ye ho ga k aap k mind mein ek time table ban jaye ga aur aap k liye next part py jana easy ho jy ga,
2. question
is part mein aap ny apni us study se related books k about khud se questions create karny hein, yani is mein aap ny ye dekhna hai k ye chapter kis cheez k about hai is mein apko kya mil sakta hai aur is k main point kya hai. is sy aapko ye b idea ho jaye ga k aap k study pattren mein kon kon c cheez important hai jo aap ny lazmi padni hai, aur kon konsy part ko aap ny leave karna hai.
3. Reading
ye part sab sy main point hai jis mein aap ny ye dekhna hai k starting mein aap ny jo jo questions create kiye thy ab aap ny un tmam swalon k jwab yad karny hein books sy find kar k, is k ilawa aapny mukhtalif topics py point bna leny hein aur unko parts mein read karna hai ta k har part achi tarha aap k mind mein beth jaye.
4. Recite
is point mein aap ny jo jo study ki hai usko bas re read karna hai, usko achi tarha read karen ta k agar kahen koi weakness reh gai hai to wo dur ho jaye agar aap ko lagy k koi hissa ya part aapko achi tarha yad nahi ho rha to koi baat nahi aap usko likh lo bar bar likhny sy wo part aap ko hifaz ho jaye ga, is k ilawa us part ko unchi awaz mein read karen itni unchi k aap k kano mein aapki awaz jaye is sy b apko achi tarha yad karny mein bohat help mily gi.
5. Review
ye sab sy last aur main point hai is mein aap ny bas ye dekhna hai k aap ny jo study ki hai us mein koi weak point to nahi reh gya koi topic reh to nai gya, aap ny jo question nikaly thy unky sary answers apko achi tarha mil gaye ya nahi, agar phir b apko lagy k koi kasar baki reh gai to is sy pichla point repeat karen bohat jald ap ek laiq student ban jayen gy.
umeed karta hu k aapko aj ka method pasand aye ga isko lazmi share karen ta k apky freinds ka b faida ho saky.
0 Comments