Do Follow Backlinks kaise banaye 3 easy ways
agar aap Apni website ya blog k liye dofollow backlink generate karna chahty hein to apko ek bar thori si struggle ki zarurat hai is k baad apky backlinks crerate hoty jayen gy jinki tadad lakhon tak ho sakti hai. un k liye apko 3 easy method batata hu jin ka aap use kar sakty hein.
- Blogger template.
- WordPress themes.
- WordPress plugin.
Do Follow Backlinks kaise banaye with blogger
kuch template seller website ko agar aap dekhen gy to un par kuch khas seo work nahi kiya gya hota yani agar aap unki discription ko dekhyn to wo kuch lines par hi mushtamil hoti hein. lekin phir b wo google k first page par rank kar rahi hoti hein, aur iski reason wo hazaron back links hein jo unho ny is template k through bnaye huye hein.kuch websites par log apny template bna kar ya edit kar k upload karty hein aur log unko download kar k use karty hein aur is tarha in websites k owners mahiny k lakhon kamaty hein without any struggle, ye kkam aap b asani k sath kar sakty hein. wese hi agar aap b achy back links jo k do follow hon banayen gy to apki site rank b kary gi aur apki domain authority b increase ho jaye gi, aur apki site search result mein b top par aye ga chahy ap ny uski onpage seo b na ki ho phir b wo achi rank position provide kary gi. aur aap k bnaye huye back links b 100% original hon gy.
Do Follow Backlinks kaise banaye with Word press theme and plugin.
Aj kal wordpress ka use sab sy zeyada ho raha hai agar aap is k through kam karna chahty hein to apko ek WordPress theme aur ek wordpress plugin create karna pady ga. phir apne us ko WordPress ki official website par publish karna hai, aur publish karny se pehly apko us theme k footer mein apni site k link add kar den. is k ilawa ap is theme ya plugin ko fb par un groups mein post karen jo web development sy related hein.
How to make Blogger Template, WordPress theme and plugin.
agar aap new comer ho aur apko nahi pata k kese ek theme ya plugin bnaya jata hai to aap kuch pesy kharch kar k fiverr etc sy ye service ly sakty hein bas apko is bat ka khyal karna hai k aap jisko ye order dy rahe hein usko ye bat pehly bta den k mein apni website k backlinks k liye ye theme banwa raha hu ta k aapka fida ho aur paisa aur waqat zaya na ho, agar aap k pas paisy nahi hein aur aap ye kam free karna chahty hein to ap ye free b kar sakty hein bas aap ny internet sy koi free theme utha leni hai usko edit kar k usky links mein apni website ko add karna hai aur usko phir upload karna hai ye b aap k liye kafi faida mand rahy ga,
agar aapko aj ka ye article pasand aya hai to lazmi sy share karen aur koi problem ho to mujhy comment kar k puch sakty hein.
0 Comments